Get updates via email

Enter your email address:

Tuesday, August 2, 2011

dil aakhir tu kyun rota hai..by javed akhatar


jab jab dard ka baadal chhaaya,
Jab gham ka saaya lehraaya,
Jab aansoo palkon tak aaya,
Jab ye tanha dil ghabraaya,
Humne dil ko ye samjhaaya,
Dil aakhir tu kyun rota hai,
Duniya mein yoo(n) hi hota hai.
Ye jo gehre sannaate hain,
Waqt ne sabko hi baante hain,
Thoda gham hai sabka qissaa,
Thodi dhoop hai sabka hissaa,
Aankh teri bekaar hi namm hai,
Har pal ek naya mausam hai,
Kyun tu aise pal khota hai,
Dil aakhir tu kyun rota hai…………

===============​===============​=

No comments:

Post a Comment