Get updates via email

Enter your email address:

Thursday, June 14, 2012

tere hisse ka waqt kyu ab bhi tanha hi guzrta hai


Mausam ki pehli barsaat ka asar hua kuch khaas hai
Teri mahek se khile phoolon ka aaj naya libaas hai
Paas na hoke bhi tera nasha chhane laga...
Kaisi ye pyaas hai...kitna haseen ye ehsaas hai

Yun to berang guzarte hi the abb din
Socha shaayad likha hi tha jeena tere bin
Par aaj, kaise keh dun tujhe bhula chuka hun mein
Rimjhim iss barsaat mein tere liye hi ruka hun mein

Laga yun bheeg gaye hum dono aaj saath
Nazarein bayaan kar rahi thi saare jazzbaat
Kash kabhi na chhoota hota haathon se tera haath...
Kehte hain log, tujhse nahin raha koi vaasta abb
Fir bhi ye dil tujhe paane ko hi kyu karta hai
Tere hisse ka waqt kyu abb bhi..... tanha guzarta hai

Tu saath nahin par saanjh mein aksar hum
Tujhse hi baatein karke muskurate hain hardam
Shikwe bhi hue the, hoti thi shikayat bhi
Par tera pyar tha..hamari himayat hi...
Kehte hain log, tujhse nahin raha koi vaasta abb
Par fir bhi ye dil tujhpe hi kyu marta hai
Tere hisse ka waqt kyu abb bhi..... tanha guzarta hai

Roomani iss fiza mein bhi, tera chehra hi rang bharta hai
Tere hisse ka waqt abb bhi..... tanha hi guzarta h